Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Har ghadi dil mein teri ulfat ke
Dheeme dheeme chirag jalte hain
Jabse tune nigaah pheri hai
Din hai suna to raat andheri hai
Chand bhi ab nazar nahin aata
Ab sitare bhi kam nikalte hainYaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Lut gayi woh bahaar ki mehfil
Chhut gayi humse pyaar ki manzil
Zindagi ki udaas raahon mein
Teri yaadon ke sath chalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Tujhko pa kar hamein bahaar mili
Tujhse chhut kar magar yeh baat khuli
Baagban bhi chaman ke phoolon ko
Apne pairon se khud masalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Kya kahein tujhse kyon hui doori
Hum samajhte hain apni majboori
Tujhko maaloom kya ke tere liye
Dil ke gham aansuon mein dhalte hain
Yaad mein teri jaag jaag ke hum
Raat bhar karvatein badalte hain
Har ghadi dil mein teri ulfat ke
Dheeme dheeme chirag jalte hain
The casino floor was alive with action - bright lights flashing, chips clattering, dice tumbling…
For serious card players, a firm grasp of mathematics is essential. While luck certainly plays…
For doctoral students, the dissertation is the culminating scholarly work that demonstrates one's ability to…
Over the years, unit-linked insurance plans (ULIPs) have emerged as a popular investment-cum-insurance option in…
In the ever-evolving digital age, the significance of effective marketing campaigns cannot be overstated. As…
VanceAI is a game-changer in the dynamic field of image editing and enhancement. This review…