Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi x (4)
Kisko sunaun haal dil-e-bekarar ka
Bujhta hua chirag hoon apne mazar ka
Aye kash bhool jaaun magar bhoolta nahi
Kis dhoom se utha tha janaza bahaar ka
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Apna pata mile na khabar yaar ki mile
Dushman ko bhi na aisi saza pyar ki mile
Unko khuda mile hai khuda ki jinhe talash
Mujhko bas ik jhalak mere dildar ki mile
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Sehra mein aake bhi mujhko thikana na mila
Gham ko bhulane ka koi bahana na mila Dil tarse jismein pyar ko
Kya samjhun us sansar ko
Ik jeeti baazi haar ke
Main dhoondhun bichhde yaar ko
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi
Door nigahon se aansu bahata hai koyi
Kaise na jaaun main mujhko bulata hai koyi
Ya toote dil ko jod do
Ya saare bandhan tod do
Aye parbat rasta de mujhe
Aye kaanton daman chhod do
Yeh duniya yeh mehfil
Mere kaam ki nahi, mere kaam ki nahi x (3)
The casino floor was alive with action - bright lights flashing, chips clattering, dice tumbling…
For serious card players, a firm grasp of mathematics is essential. While luck certainly plays…
For doctoral students, the dissertation is the culminating scholarly work that demonstrates one's ability to…
Over the years, unit-linked insurance plans (ULIPs) have emerged as a popular investment-cum-insurance option in…
In the ever-evolving digital age, the significance of effective marketing campaigns cannot be overstated. As…
VanceAI is a game-changer in the dynamic field of image editing and enhancement. This review…