YEH KAALI KAALI AANKHEN LYRICS

Yeh Kaali Kaali Aankhen Lyrics

Yeh kaali kaali aankhen
Yeh gore gore gaal
Yeh teekhi teekhi nazren
Yeh hirni jaisi chaal x (2)

Dekha jo tujhe jaanam
Hua hai bura haal

Yeh kaali kaali aankhen
Yeh gore gore gaalYeh teekhi teekhi nazren
Yeh hirni jaisi chaal

Main mila, tu mili
Hey tu mili, main mila
Main mila, tu mili
Tu mila, main mili
Duniya jale to jale
Pyar karenge tujhpe marenge Dhak dhak dil yeh kare ha!

Uff teri dillagi dil ko jalaane lagi
Dilruba tu mujhe nakhre dikhane lagi

Also Read  transformers all parts in hindi download mp4moviez

Ghairon ki baahon mein ithla ke jaane lagi
Yeh teri berukhi mujhko satane lagi
Chhodo ji chhodo sanam zid apni chhodo sanam
Nazuk hai dil yeh mera dil ko na todo sanam
Dil ko na todo sanam

Yeh lambi lambi raatein
Aa kar lein mulakatein
Jaane kyon dil yeh mera
Tera hi hona chaahe
Gusse mein laal na kar
Yeh gore gore gaal

Yeh kaali kaali aankhen
Yeh gore gore gaal
Yeh teekhi teekhi nazren
Yeh hirni jaisi chaal

Na tu kar khatpat
Kar pyar jhatpat
Mere aaja tu nikat
Kaat pyar ka ticket
Na tu julfein jhatak
Na tu pair patak
Arre aise na matak
Dil gaya hai bhatak

Also Read  tamilrockers.net home

Chehre pe tere sanam laila ki hain shokhiyan
Heer se badhke hain aankhon ki yeh mastiyan

Juliet ki tarah hothon pe hain surkhiyan
Dekh le khud ko tu nazar se meri jaan-e-jaan
Dekhi jo teri adaa main fidaa ho gaya
Seene se lag ja zara jeene ka aaye maza
Jeene ka aaye maza

Yeh bikhri bikhri zulfein
Yeh jhuki jhuki palkein
Yeh gori gori baahein
Hum kyun na tumhein chaahein
Aisa to humne pehle dekha nahin kamaal

Yeh kaali kaali aankhen
Yeh gore gore gaal
Yeh teekhi teekhi nazren
Yeh hirni jaisi chaal

Yeh Kaali Kaali Aankhen Lyrics In English

error: Content is protected !!