YEH HUM AA GAYE HAIN KAHAN LYRICS

Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics

Lehrati huyi raahein
Khole huye hain baahein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Palkon pe gehre halke
Hain reshmi dhundhalke ke
Yeh hum aa gaye hain kahan
Aa yeh hum aa gaye hain kahan

Woh dekho zara parbaton pe ghatayeinHamari dastan haule se sunayein
Suno to zara yeh phoolon ki vaadi
Hamari hi koyi kahani hai sunati
Sapnon ke is nagar mein
Yaadon ki rehguzar mein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Yeh hum aa gaye hain kahan

Also Read  monkey king 3 in hindi dubbed download filmyzilla 480p

Jo raahon mein hai rut ne sona bikhera Sunehra hua tera mera savera
Zameen so gayi barf ki chaadron mein
Bas ik aag si jalti hai do dilon mein
Hawayein sansanayein, badan kaanp jayein
Yeh hum aa gaye hain kahan
Haan yeh hum aa gaye hain kahan

Yeh barsaat bhi kab thame kaun jaane
Tumhein mil gaye pyar ke sau bahane
Sitaron ki hai jaise baraat aayi
Hamare liye raat yoon jagmagayi
Sapne bhi jhilmilayein
Dil mein diye jalayein
Yeh hum aa gaye hain kahan

Haan yeh hum aa gaye hain kahan x (2)

Yeh Hum Aa Gaye Hain Kahan Lyrics In English

error: Content is protected !!